Learn English Online

Apna Introduction Kaise De in English – For Self & Interview

Apna Introduction Kaise De in English – For Self & Interview

online English speaking course

Apna Introduction Kaise De in English:-

  • Ek good self-introduction dene ke anek benefits hai. It helps to connect with new people, describes your unique capabilities, and keeps you on top of their minds. Agar introduction accha ho toh ek positive impression banane mein help madad bhi mil jaati hai.
  • Apne baare mein acchi tarah se dusro ko smjhana ko self-introduction kaha jata hai. Ismein yei zaruri nahi hai ki aap kaha paida huyei hai balki yei pucha jaata hai ki aap kaha se belong karte hai. Yanei ki aap kaha ke rehne walei hai. 
  • Self-introduction zadatar interview mein diye jaate hai par yei college, school, ya events mein bhi kaam aatei hai jab aap kisi anjan se baat karna chahei. Aapka introduction dusre ko aapka naam, aapke padhai kei background, kaam, aur experience batata hai. 
  • Jab yei baatei aap kisi ko batatei hai toh wo jaannei ki koshish karte hai ki aapne yei field kyun choose kia? Ya fir, aapko iss field mein kya seekhne ko mila aur aap unhei kese madad kr skte hai. 

Must read this- Private English Tutor

Interview Me Apna Introduction Kaise De in English

  • Zadatar interviews mein self-introduction aapke bolne kei tareeke, family background, education, aur experience jaanne kei liye kia jaata hai. Interviewer aapke resume mein likha experience padh kar aapse swaal bhi karte hai yei jaanne ke liye ki aapko hire karke unki company ya team ko kya fayeda hai. 
  • Lekin self-introduction ko ek elevator pitch ki tarah maanna chahiye. Yaanei ki 40 seconds se lekar ek minute mein aapka introduction khatam ho jaana chahiye. Zada lambe introduction se interviewer ka interest aap mein se hat jata hai aur kafi cases mein shortlist honei ka chance khatam ho jata hai.
  • Jab aap interview k liye self-introduction taiyaar kar rhei ho toh job profile mein likhi details par zarur dhyaan dei. Apna introduction profile mein se di gayi requirements mein se jo sabse zada ahem hai aapke liye choose karei aur uspar taiyari karei. 
  • Aisa karne se aapko maloom hoga ki interviewer kese swaal kar skta hai aur aapko interviewer se kya poochna chahiye jab wo kahei – Would you like to ask me something regarding this profile? Mtlb kya aap mujhse iss profile ke baare mein kuch jaanna chahenge? Jab aisa poocha jayei toh aap working hours and days puch sakte hai.

Self-introduction Kaise De in English

  • Ek casual setting mein self-introduction deine ke liye ek firm handshake ya fir ek nod karke bolei, ‘Hi I am ‘name.’ Nice to meet you’ Uske baad puchei swaal – What is your occupation? (aap kya kaam krte hai?) aur fir koi topic of common interest par charcha shuru kr skte hai. Baat krte waqt yei bhi puch lei – where are you from? (aap kaha se belong krte hai?). 
  • Aisa karne se conversation aur aage badh jayegi. Isi dauran aapse bhi same swaal puche jayeinge toh apne jwaab taiyaar rakhei. Baat khatam hone par conversation end karei yei kehke – It was nice talking to you (Aapse baat krke accha laga). Agar beech mein aapka kahi jaana padei toh kahei – Excuse me, I will get back to you shortly on this (Maaf kriyei, mein aapse iss vishay mein charcha baad mein continue krta hun).
admin

    Comments are closed.